jazbaat ka khamosh asar dekh raha hun bechain hai dil aankh ko tar dekh raha hun khakistar-e-parwana hai bujhti hui shamen rangin mohabbat ki sahar dekh raha hun mauhum hua jata hai ab maqsad-e-hasti baatil ko haqiqat pe zabar dekh raha hun chhae hain kuchh is tarah mere dida-o-dil par har samt wahi hain main jidhar dekh raha hun manzil ka pata hai na maqamat safar ka tayyar hai ab rakht-e-safar dekh raha hun jis rah se guzre the mohabbat ke musafir sunsan wahi rahguzar dekh raha hun ai 'mauj' bala-khez hai dariya-e-mohabbat tufan ka aalam hai jidhar dekh raha hun