jhalak bhi mil na pai zindagi ki

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
jhalak bhi mil na pai zindagi ki
use jaldi padi thi wapsi ki
bachao apni jalti bastiyon ko
bahut ta'rif kar li raushni ki


khudaon se bhi gahri chhan rahi hai
mere jaise fasadi aadmi ki
wo bole hanste-hanste marte jao
'ajab ye shart hai zinda-dili ki


andheron ne bhi chamkaya na hum ko
charaghon ne bhi hum se dil-lagi ki
lutate ho jo itna pyar mujh par
tumhein pahchan bhi hai aadmi ki


kabhi fursat mile to baat karna
zarurat hai zara si zindagi ki
kahin ye tanz to mujh par nahin hai
qasam khate ho har dam 'ashiqi ki


nai masrufiyat paida kare kaun
kise fursat hai banda-parwari ki
45117 viewsghazalEnglish