jhil si aankh ko dariyaon ka dhaara kar ke

By asima-farazJanuary 2, 2024
jhil si aankh ko dariyaon ka dhaara kar ke
khush hai wo shakhs ye nuqsan hamara kar ke
us ko lagta hai ki aasan hai bichhadna mujh se
kya wo ji lega mera hijr gawara kar ke


aa ki mil baith ke jine ka hunar sikhte hain
zindagi yun na guzar mujh se kinara kar ke
tum ne jate hue tohfe mein mujhe bakhsha tha
dil mein rakkha hai wahi ashk sitara kar ke


dukh udasi ye ghutan aur ye khali daman
kya mila mujh ko tere sath guzara kar ke
tum ne chhoda to kisi samt na dekha main ne
yunhi jiti rahi khud ko main tumhaara kar ke


50437 viewsghazalEnglish