jhulse hue sahra mein shajar dekh raha hun

By abid-barelviDecember 2, 2024
jhulse hue sahra mein shajar dekh raha hun
ummid ke gulshan mein sahar dekh raha hun
jalwon ki tajalli ka talabgar hai ye dil
tu husn ka paikar hai nazar dekh raha hun


har samt mohabbat ke nae bab likhe hain
bas khwab se manzar hain jidhar dekh raha hun
ek khwab ki ta'bir hai darkar musalsal
ek aag ka dariya hai safar dekh raha hun


jate hue logon ko tum aawaz na dena
ye hijr ke mare hain dagar dekh raha hun
wo shakhs mohabbat mein khata-kar hua hai
har shakhs ke honton pe khabar dekh raha hun


har gam hain rahon mein siyasat ke bawandar
mushkil mein hai har ek bashar dekh raha hun
kaisa hai sitam yaro hai ye zarf bhi kaisa
jalta hua apna hi main ghar dekh raha hun


'abid' tujhe ulfat ki tamanna hi nahin ab
kab se main teri samt-e-guzar dekh raha hun
17256 viewsghazalEnglish