jhunjhlae hain lajae hain phir muskurae hain kis ehtimam se unhen hum yaad aae hain dair-o-haram ke habs-kadon ke satae hain hum aaj mai-kade ki hawa khane aae hain ab ja ke aah karne ke aadab aae hain duniya samajh rahi hai ki hum muskurae hain guzre hain mai-kade se jo tauba ke baad hum kuchh dur aadatan bhi qadam ladkhadae hain ai josh-e-girya dekh na karna khajil mujhe aankhen meri zarur hain aansu parae hain ai maut ai bahisht-e-sukun aa khush-amdid hum zindagi mein pahle pahal muskurae hain jitni bhi mai-kade mein hai saqi pila de aaj hum tishna-kaam zohd ke sahra se aae hain insan jite-ji karen tauba khataon se majburiyon ne kitne farishte banae hain samjhate qabl-e-ishq to mumkin tha banti baat naseh gharib ab hamein samjhane aae hain kabe mein khairiyat to hai sab hazrat-e-'khumar' ye dair hai janab yahan kaise aae hain