jhuT kahte hain ki aawaz laga sakta hai

By sajid-raheemFebruary 28, 2024
jhut kahte hain ki aawaz laga sakta hai
dubne wala faqat hath hila sakta hai
aur phir chhod gaya wo jo kaha karta tha
kaun bad-bakht tujhe chhod ke ja sakta hai


rasta bhulna 'adat hai purani us ki
ya'ni ek roz wo ghar bhul ke aa sakta hai
shart itni hai ki tu us mein faqat mera ho
phir to ek khwab kai bar dikha sakta hai


aankh bunti hai kisi khwab ka tana-bana
khwab bhi wo jo meri nind uda sakta hai
us ne kya soch ke saunpa hai kahani mein mujhe
aisa kirdar jo parde bhi gira sakta hai


mere razzaq se karti hai meri bhuk sawal
kya yahin rizq ke wa'de ko nibha sakta hai
tum na manoge magar mere chale jaane par
ek na ek roz tumhein sabr bhi aa sakta hai


81796 viewsghazalEnglish