jhut ki mandi mein sach le kar aaya hai sach kahna kis ne tujh ko bahkaya hai raat gae aahat sun kar kyon dhadka hai ai mere dil aisa kya yaad aaya hai sachcha hai to dar kaisa hai khul kar bol aaine ko dekh ke kyon sharmaya hai mang raha hai mujh se mujh ko wo kuchh yun har jumle mein dhamki ka rang aaya hai zulm ko hi insaf kaha jae ab se raj-mahal se ye sandesa aaya hai suraj ko gar us se matlab koi nahin chand ka chehra phir kis ne jhulsaya hai jangal mein ab us ka kya tha so thak kar aaj parinda pinjre mein laut aaya hai