ji larazta hai jaane kya hoga jis ghadi un ka samna hoga jis jagah un ka naqsh-e-pa hoga mera sajda wahin ada hoga rah ki chhed se zara bach kar chal koi rah dekhta hoga apne chehre ke dagh dekhenge ru-ba-ru jab wo aaina hoga jholiyan kaun bhar gaya sab ki chhup ke khairaat bantta hoga bas usi mod pe thahar ai 'nasim' wo dariche se jhankta hoga