jin ankhdiyon mein na tha kuchh shararaton ke siwa un ankhdiyon mein nahin kuchh bhi hasraton ke siwa labon pe mauj-e-tabassum ka ahd bit gaya labon pe aaj nahin kuchh shikayaton ke siwa wo anjuman ka tasawwur kare to kaise kare jise nasib na ho kuchh bhi khalwaton ke siwa ek aaina hun junun-o-khirad ka aaina meri nazar mein nahin kuchh bhi hairaton ke siwa usi se puchh mere intizar ka aalam jise na kuchh bhi mayassar ho fursaton ke siwa gudaz-e-saghar-o-paimana kaun samjha hai mere siwa mere dil ki nazakaton ke siwa kami usi mein tamannaen jalwa-gar thin 'kamal' kuchh aaj dil mein nahin hai jarahaton ke siwa