jin ke hathon mein sar hamare hain

By sabeensaifFebruary 28, 2024
jin ke hathon mein sar hamare hain
wo hamein jaan se bhi pyare hain
mat falak par hamein talash karo
hum to tute hue sitare hain


'qais'-o-'farhad'-o-hir ki surat
'ishq ne kitne rup dhaare hain
ghaur kije zara to hum aur aap
ek dariya ke do kinare hain


lakh kuchh bhi kahe hamein duniya
hum hain un ke to wo hamare hain
bhuk iflas ranj mayusi
zindagi tere isti'are hain


teri chahat mein 'ishq ki bazi
jit jaane ke ba'd haare hain
tujh ko khona tujhe khafa karna
ye khasare bade khasare hain


kash koi kabhi kahe hum se
jaan hum aaj bhi tumhaare hain
jin mein khushiyan nasib hoti hain
hum ne wo din kahan guzare hain


hum ne duniya mein aa ke dekh liya
aap duniya mein sab se pyare hain
wo meri jaan ke hue dushman
jin ke sadqe kabhi utare hain


main ne kaghaz pe jo likhe the 'sabin'
kuchh mazamin in mein nyare hain
82196 viewsghazalEnglish