jin ke panw bhi nahin hain un ko sar kahte hain log kya zamana hai ki paudon ko shajar kahte hain log ek aansu bhi na tapka aaj tak jis aankh se kya qayamat hai usi ko chashm-e-tar kahte hain log ab zamane ki kasauti ka yahi mear hai sip se nikla nahin phir bhi guhar kahte hain log maslahat ki bediyon mein jab se jakdi hai zaban hum nazar walon ko aksar kam nazar kahte hain log is liye har aankh se ab nind rukhsat ho gai din ki nakaami ka qissa raat bhar kahte hain log kya zamana aa gaya hai pur-sukun lahje mein ab chaar din ki chandni ko ham-safar kahte hain log jis ki surat dekh kar kuchh log pagal ho gae kuchh na kuchh hum par bhi us ka hai asar kahte hain log farq kya padta hai is se 'tashna' teri zat par kahne de jal kar tujhe kuchh bhi agar kahte hain log