jine lagta hai zindagi ke baghair
By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
jine lagta hai zindagi ke baghair
koi marta nahin kisi ke baghair
sha'iri dard-e-zindagi ke baghair
jaise ummat koi nabi ke baghair
wo diye bhi hawa ne dekh liye
jal rahe the jo raushni ke baghair
hum teri aarzu ke daftar mein
kaam karte hain salary ke baghair
kitni baaten hain jin ko diwane
kah nahin sakte khamushi ke baghair
ji raha hun main hijr mein aise
jaise changez khan khudi ke baghair
hum se sikho ki apni marzi se
kaise marte hain khud-kushi ke baghair
phir mere zehn mein kai jinnat
raqs karne lage pari ke baghair
koi marta nahin kisi ke baghair
sha'iri dard-e-zindagi ke baghair
jaise ummat koi nabi ke baghair
wo diye bhi hawa ne dekh liye
jal rahe the jo raushni ke baghair
hum teri aarzu ke daftar mein
kaam karte hain salary ke baghair
kitni baaten hain jin ko diwane
kah nahin sakte khamushi ke baghair
ji raha hun main hijr mein aise
jaise changez khan khudi ke baghair
hum se sikho ki apni marzi se
kaise marte hain khud-kushi ke baghair
phir mere zehn mein kai jinnat
raqs karne lage pari ke baghair
44338 viewsghazal • English