jinhen hum yaad kar ke ro rahe hain

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
jinhen hum yaad kar ke ro rahe hain
unhin murdon ka wirsa dho rahe hain
wo khinche ja raha hai apni jaanib
hum apni had se bahar ho rahe hain


hamein qiston mein marna pad raha hai
wo qiston mein parae ho rahe hain
mata'-e-zindagi ki pith par hum
tumhaari be-rukhi bhi dho rahe hain


bada ulta zamana aa gaya hai
mohabbat karne wale so rahe hain
khuda ka shukr hai gham par hamare
jo khush hote the wo bhi ro rahe hain


hum apne sahn ke gamlon mein ab tak
tumhaari muskurahat bo rahe hain
26990 viewsghazalEnglish