jinhen uruj hamara giran guzarta hai

By aalam-nizamiJanuary 18, 2024
jinhen 'uruj hamara giran guzarta hai
sukun se un ka koi din kahan guzarta hai
wo chhod jata hai fitnon ke darmiyan hum ko
hamare shahr se jab bhi fulan guzarta hai


masarraton ke ye mausam bhi is tarah guzre
kisi makan se jaise dhuan guzarta hai
agar sharik-e-safar ho mizaj se waqif
to zindagi ka safar kaamran guzarta hai


bhatakne wale musafir ki rahbari ke liye
ghubar udata hua karwan guzarta hai
jabin pe sajde ki hasrat machalne lagti hai
namaziyon pe jo waqt-e-azan guzarta hai


usi ki zat pe karta hai rashk ye 'alam'
jo chhod kar koi dilkash nishan guzarta hai
12759 viewsghazalEnglish