jinko bhule hue zamana hua

By ustad-vajahat-husain-khanJanuary 5, 2024
jin ko bhule hue zamana hua
un ke ghar phir se aana jaana hua
zarf ne toda 'ashiqi ka bharam
khatm ek pal mein dostana hua


tum jo aae to chand nikla hai
aur mausam bhi 'ashiqana hua
phir use hosh kis tarah aae
teri nazron ka jo nishana hua


she'r kahne lage jo masti mein
apna andaz sufiyana hua
dasht-o-sahra chaman na kucha-e-yar
'ashiqon ka kahan thikana hua


kyon 'wajahat' karen kisi se gila
hum ko ruswa hue zamana hua
30298 viewsghazalEnglish