jinko mai-e-‘irfan-e-wafa ras na aai

By basit-ujjainiJanuary 2, 2024
jin ko mai-e-‘irfan-e-wafa ras na aai
un ko kabhi jine ki ada ras na aai
ek wo ki mayassar hai jinhen zulm ki taqat
ek hum ki hamein koi du'a ras na aai


paband-e-wafa mera muqaddar hai azal se
mujh ko magar apni hi wafa ras na aai
aasuda-e-duniya mujhe sab kahte hain lekin
duniya mujhe ab tak ba-khuda ras na aai


jis bazm se ek rabt hai ab tak mere dil ko
us bazm ki is dil ko faza ras na aai
us dil ki jahan mein koi qimat nahin jis ko
saz-e-gham-e-hasti ki sada ras na aai


jo shahr ki 'basit' ki wafaon ka chaman tha
us shahr ki 'basit' ko hawa ras na aai
49093 viewsghazalEnglish