jis bhi lafz pe ungliyan rakh de saz kare nazm ki marzi kaise bhi aaghaz kare kaun lagae qadghan khwab mein ashiya par aaina hath milae aks aawaz kare jab bachchon ko dekhta hun to sochta hun malik in phulon ki umr daraaz kare sote jagte kuchh bhi bolta rahta hun kaun bhala mujh aise ko hamraaz kare qadam qadam par in ki zarurat padti hai aankh se kahna aansu pas-andaz kare