jis dam khayal-e-yar ki be-chehragi gai aaina-e-firaq se be-raunaqi gai baitha ghubar-e-hasrat-e-tamir ab ki bar shauq-e-safar ki rah mein aawargi gai wahshat hamare zabt ka ujda mazar hai lakhon jatan kiye na sarasimgi gai hum se qaba-e-dard pe tare na tank sake kasb-e-hunar ki tak mein wamandgi gai hone ka e'tibar banati sahar ke sath kirnon ki be-niyaz tar-o-tazgi gai