jis jagah daur-e-jam hota hai

By meer-taqi-meerNovember 6, 2020
jis jagah daur-e-jam hota hai
wan ye aajiz mudam hota hai
hum to ek harf ke nahin mamnun
kaisa khatt-o-payam hota hai


tegh nakaamon pe na har dam khinch
ek karishme mein kaam hota hai
puchh mat aah aashiqon ki maash
roz un ka bhi sham hota hai


zakhm bin gham bin aur ghussa bin
apna khana haram hota hai
shaikh ki si hi shakl hai shaitan
jis pe shab ahtelam hota hai


qatl ko main kaha to uth bola
aaj kal subh-o-sham hota hai
aakhir aaunga nash par ab aah
ki ye aashiq tamam hota hai


'mir' sahab bhi us ke han the par
jaise koi ghulam hota hai
20192 viewsghazalEnglish