jis ki KHatir meri din-dari gai
By shamim-danishFebruary 29, 2024
jis ki khatir meri din-dari gai
wo bhi duniya na mujh se sawari gai
jo tere sath ek shab guzari gai
zindagi bhar na us ki khumari gai
raunaqen hain na ab hain wo ra'naiyan
bazm se kya sadarat hamari gai
waqt ne chhin lin sari aasaishen
shahzade ki kab waz'-dari gai
the mohabbat ke aadab pesh-e-nazar
dil ki khwahish to dil hi mein mari gai
wo bhi duniya na mujh se sawari gai
jo tere sath ek shab guzari gai
zindagi bhar na us ki khumari gai
raunaqen hain na ab hain wo ra'naiyan
bazm se kya sadarat hamari gai
waqt ne chhin lin sari aasaishen
shahzade ki kab waz'-dari gai
the mohabbat ke aadab pesh-e-nazar
dil ki khwahish to dil hi mein mari gai
37429 viewsghazal • English