jis ko dekho jis ko parkho lagta hai begana sa

jis ko dekho jis ko parkho lagta hai begana sa
mazi ko sab bhul chuke hain mazi hai afsana sa

nazuk gardan patli kamar thi chaal thi us ki matwali
aankhen nargis ko sharmaen mukhda masumana sa

zulfen jaise kali ghata ho abru us ke khanjar se
phul ki patti lab the us ke qadd-o-qamat miyana sa

dandan moti ki ladiyan thin khal tha gal pe hae ghazab
baaten us ki mithi mithi lahja tha mastana sa

sab kuchh to main bhul chuka hun lekin ye kaise bhulun
shama ki surat wo tha hamdam aur main tha parwana sa

kaise khilen ummid ki kaliyan kaise wo rut aae phir
kaise phalega nakhl-e-tamanna dil ho jab virana sa

kitni taswiren hain kanda dil mein ki bas allah allah
kuchh kuchh kaba sa lagta hai kuchh kuchh hai but-khana sa

ghair to ghair hai awwal-o-akhir ghair ka kya shikwa kije
mujh ko to is soch ne mara dil kyon hai begana sa

uljhe uljhe us ke gesu chehre par wahshat tari
aisa lagta hai ab 'khawar' jaise ho diwana sa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close