jis ko duniya manti hai aap ka mera bhi hai

By amit-vermaJanuary 1, 2024
jis ko duniya manti hai aap ka mera bhi hai
aap ki manzil hai wo par rasta mera bhi hai
jism tak ka mudda'a mera nahin par ai raqib
us ke aage jo bhi hai wo mudda'a mera bhi hai


sari duniya manti hai khub-surat aap hain
aur aisa hi yaqinan manna mera bhi hai
tum mujhe chaho saraho dekh lo par hath ki
in lakiron mein tumhaare nam kya mera bhi hai


yun hi to in faslon se dil mera dukhta nahin
kuchh na kuchh to yar tujh se rabta mera bhi hai
main gale lagta hun lekin main gale padta nahin
had mein behad hun magar ek daera mera bhi hai


jab talak mange na koi mashwara mat dijiye
aap logon ke liye ye mashwara mera bhi hai
60515 viewsghazalEnglish