jis ko nasib iffat-e-qalb-o-nazar nahin

jis ko nasib iffat-e-qalb-o-nazar nahin
aankhon mein lakh nur sahi dida-war nahin

husn-e-talab nahin kahin zauq-e-nazar nahin
warna wo aaftab kahan jalwa-gar nahin

mana ki tu hai mahram-e-raaz-e-nihan magar
apni khabar nahin hai to kuchh bhi khabar nahin

main khud hi jazb-e-ishq pe qabu na rakh saka
tujh se to koi shikwa mujhe chashm-e-tar nahin

hote hain baryab yahan sarfarosh hi
ye bargah-e-ishq hai khala ka ghar nahin

husn-e-nazar ata ho to har zarra tur hai
kuchh bhi hasin nahin hai jo husn-e-nazar nahin

wo kya gae ki ishq ki duniya ujad gai
diwar-o-dar nahin hain wo sham-o-sahar nahin

sun kar tere kalam ko wo ham-kalam hon
'sabir' tere kalam mein itna asar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close