jis ko paDi ho apne gareban ke tar ki

By betab-azimabadiApril 24, 2021
jis ko padi ho apne gareban ke tar ki
roe khizan ko khair manae bahaar ki
mearaj us ko kahiye hamare ghubar ki
warna ye khak aur hawa ku-e-yar ki


pazhmurda phul hun chaman-e-rozgar ka
taswir hun do-rangi-e-lail-o-nahaar ki
nichi nigah aad mein mizhgan ki al-aman
sayyaad jaise ghat mein baithe shikar ki


chin-e-jabin-e-yar ki chhuriyan wahin chalin
jon hi tadap badhi nigah-e-intizar ki
munh faq hai is tarah meri subh-e-firaq ka
jaise ho pahli sham gharib-ud-dayar ki


'betab' khatm kar gae ustad-e-nam-dar
jadu-nigariyan qalam-e-sehr-kar ki
24446 viewsghazalEnglish