jis ne chhupa ke bhuk ko patthar mein rakh liya duniya ko is faqir ne thokar mein rakh liya ahl-e-junun ko apne junun se wo ishq tha dil ne jagah na di to use sar mein rakh liya nanha koi parind uda jab to yun laga himmat ne aasman ko shahpar mein rakh liya aankhon ne aansuon ko ajab ehtimam se moti bana ke dil ke samundar mein rakh liya hum ne tumhaari did ke lamhe samet kar phir se purane khwab ki chadar mein rakh liya kya dar sama gaya ki hamare harif ne tum jaise shahsawar ko lashkar mein rakh liya kuchh baat thi jo hum ne sitaron ke darmiyan un aansuon ko raat ke manzar mein rakh liya aankhen thakin to dil ne sahaara diya 'fahim' hum ne kisi ka aks nae ghar mein rakh liya