jis ne ghairon ko apna jaana hai

By prabhat-patelFebruary 28, 2024
jis ne ghairon ko apna jaana hai
us ke qadmon pe ye zamana hai
ashk-bari hai shauq aankhon ka
tera jaana to ek bahana hai


zindagi mein usi ne hai luta
apna hum ne jise bhi mana hai
ba'd bachpan ke hum ne ye samjha
zist ka nam gham uthana hai


gham hai be-shak magar jahan ke liye
dil ko samjha ke muskurana hai
han badi ka sila milega bashar
waqt ke hath taziyana hai


sabr ki intiha talak ai zist
tere zulmon ko aazmana hai
36744 viewsghazalEnglish