jis ne teri bebak ada ko nahin dekha

By abdul-ghafoor-nassakhDecember 25, 2020
jis ne teri bebak ada ko nahin dekha
wallah ki aankhon se faza ko nahin dekha
kyun mujh ko sunae na bhala qissa-e-jannat
waiz ne tere mehr-o-wafa ko nahin dekha


afsos ki sun hi ke abhi hanste ho afsos
tum ne jo agar aah-o-buka ko nahin dekha
ghabrae hue phirti hai kyun mere tarah se
tasir ne kya meri dua ko nahin dekha


bebakiyan dekhin hain teri bazm-e-adu mein
aankhon mein teri sharm-o-haya ko nahin dekha
kahte hain ghalat howega dushman ka guzar khak
kuche mein tere baad-e-saba ko nahin dekha


malum nahin tum ko wafa kahte hain kis ko
tum ne abhi arbab-e-wafa ko nahin dekha
kya khak ho ummid mujhe us se wafa ki
main ne to kabhi us ki jafa ko nahin dekha


nazan na hon kyun khizar bhala umr pe apni
hazrat ne tera zulf-e-rasa ko nahin dekha
parde se nikalte nahin aur kahte hain mujh se
pahchanoge kya hum ko khuda ko nahin dekha


aage teri aankhon ke jhukae hue aankhen
kab aahu-e-bawar-ba-khata ko nahin dekha
kyun hazrat-e-musa ki tarah nash mein 'nassakh'
gar tum ne but-e-hosh-ruba ko nahin dekha


96640 viewsghazalEnglish