jis raat bhi charagh-e-shab-e-gham raha hun main us raat raushni mein bahut kam raha hun main ghairon se dosti ko badhaya hai apna hath khud kitna apne aap se barham raha hun main khushbu dil-o-dimagh mein aur wo bhi is qadar phulon ka ham-nashin to bahut kam raha hun main ye shahr-e-jism-o-jaan meri pahchan ban gaya is shahar mein agarche bahut kam raha hun main kuchh phul hath par mere kuchh khar jism mein 'saulat' ye kis bahaar ka mausam raha hun main