jis se banti na thi kabhi apni

By tasnim-abbas-quraishiMarch 1, 2024
jis se banti na thi kabhi apni
mil gai us se kundali apni
anginat bhed khol deti hai
ek lamhe ki khamushi apni


hae afsos khud se milte waqt
aade aati rahi kami apni
aah be-chaargan ke jaisi hai
puchhte kya ho zindagi apni


kin ke asrar khul rahe hain mudam
aur haalat hai didani apni
pa-ba-zanjir shauq hota gaya
dekh le husn munsifi apni


'umr-bhar sath sath the hum log
'umr-bhar ban nahin saki apni
kyon hai shams-o-qamar ka tu muhtaj
paida kar khud se raushni apni


hae dozakh ye pet ka dozakh
bech di hum ne sha'iri apni
barishi sa mizaj hai us ka
aur naw hai kaghazi apni


main sitaron se aage kya jata
mujh mein hail thi raushni apni
rabt-e-millat ka khwab tha apna
par na ta'bir ho saki apni


hum bhi karte qayas millat par
soch hoti jo hashmi apni
aise uljhe hain roz-o-shab mein hum
barf hai soch par jami apni


68038 viewsghazalEnglish