jis taraf koi na aa paya udhar aaya tu
By bilal-sabirMarch 1, 2024
jis taraf koi na aa paya udhar aaya tu
main tujhe sochne baitha to nazar aaya tu
ai mere phul ye guldan nahin marqad hai
tujh ko aana tha kidhar aur kidhar aaya tu
teri peshani pe ek misra' likhenge ye lab
yar is bar mere samne gar aaya tu
ai mere she'r bahut khub use das aaya
meri ummid pe is bar utar aaya tu
'ishq mujh ko teri parwaz tere par se tha
ai chakor aaya to kyon un ko katar aaya tu

27109 viewsghazal • English