jis tarah chahiye kab kar-e-wafa hota hai

By adeel-zaidiOctober 23, 2020
jis tarah chahiye kab kar-e-wafa hota hai
haq mohabbat ka kahan hum se ada hota hai
hum bahut chahte hain amn-o-mohabbat har su
wahi hota hai jo manzur-e-khuda hota hai


mushkilon mein bhi buzurgon ka wazifa ye tha
achchhe kaamon ka to achchha hi sila hota hai
fitratan saz mein aawaz kahan hoti hai
ek zara chhediye phir dekhiye kya hota hai


koi majburi utha deti hai diwar-e-ana
apni marzi se bhala kaun bura hota hai
har wo insan ki jo dawat-e-haq deta ho
na sahi qibla magar qibla-numa hota hai


76403 viewsghazalEnglish