jise apna samajhte the wahi apna nahin nikla

By devesh-dixitFebruary 5, 2024
jise apna samajhte the wahi apna nahin nikla
yahi dil se hamare 'umr-bhar kanta nahin nikla
bahut nazdik se khud-gharz duniya dekh li hum ne
jise jaisa samajhte the wahi waisa nahin nikla


wo dhoka tha nazar ka hum jise sona samajhte the
parakhne pe wo sona kya khara kansa nahin nikla
zabanen sakht hain jin ki wo dil ke saf hote hain
koi bhi shakhs mitha aaj tak achchha nahin nikla


85370 viewsghazalEnglish