jise bhi dekhiye pyasa dikhai deta hai

jise bhi dekhiye pyasa dikhai deta hai
koi maqam ho sahra dikhai deta hai

na jaane kaun hai wo waqt-e-sham jo akasr
gali ke mod pe baitha dikhai deta hai

jo chandni mein nahate hue bhi darta tha
wo jism dhup mein jalta dikhai deta hai

pahunch rahi hai jahan tak nigah sadkon par
na koi ped na saya dikhai deta hai

kanar-e-ab na baitho ki jhil mein 'khawar'
tumhaara aks bhi ulta dikhai deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close