jise bhi hon adab-adab dekh sakta hai

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
jise bhi hon adab-adab dekh sakta hai
koi bhi shakhs tere khwab dekh sakta hai
teri nigah se duniya ko dekhne wala
charagh ko pas-e-mehrab dekh sakta hai


ye kah ke izn-e-safar de diya gaya mujh ko
ki tu sitare ko mahtab dekh sakta hai
du'a-o-ashk ki gathri sanbhaal ke rakhna
kisi bhi waqt wo asbab dekh sakta hai


wo jis ne dekh liya hai use nazar-bhar ke
pas-e-ghubar-o-tah-e-ab dekh sakta hai
na apne hijr mein pazhmurda pa ke khush hai hamein
na apne wasl mein shadab dekh sakta hai


na chahta hai ki hum haalat-e-sukun mein rahen
na apne 'ishq mein betab dekh sakta hai
'jamal' jis ko bhi shak ho hamari baaton par
hamara halqa-e-ahbab dekh sakta hai


34523 viewsghazalEnglish