jise KHud se juda rakkha nahin hai

By sabihuddin-shaibiNovember 14, 2020
jise khud se juda rakkha nahin hai
wo mera hai magar mera nahin hai
jise khone ka mujh ko dar hai itna
use main ne abhi paya nahin hai


nuqush ab zehn se mitne lage hain
bahut din se use dekha nahin hai
suna hai phul ab khilte nahin hain
to kya khul kar wo ab hansta nahin hai


nagar chhoda hai jab se us ghazal ne
koi shair ghazal kahta nahin hai
teri yaadon se raushan hai mera dil
ye wo suraj hai jo dhalta nahin hai


meri aankhon ka ye dariya ajab hai
ki bahta hai to phir thamta nahin hai
khushi ka ho koi ya gham ka lamha
guzar jata hai kyon rukta nahin hai


'sabih'-o-khub-ru chehre kai hain
magar koi bhi us jaisa nahin hai
89428 viewsghazalEnglish