jise likh likh ke khud bhi ro pada hun main apni ruh ka wo marsiya hun meri tanhaiyon ko kaun samjhe main saya hun magar khud se juda hun samajhta hun nawa ki shoalagi ko sukut-e-harf se lams-e-ashna hun kisi se kiya milun apna samajh kar main apne waste bhi na-rasa hun koi suraj hai fan ka to mujhe kya main apni raushni mein sochta hun mera sahra hai meri khud-shanasi main apni khamushi mein gunjta hun mujhe ye justuju rakhti hai hairan ki main sahba hun ya sahba-numa hun