jism-e-maslub ka yak-laKHt naya ho jaana

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
jism-e-maslub ka yak-lakht naya ho jaana
samne aana tera jashn bapa ho jaana
nisf iman pe nachiz tika hai kab se
man leta nahin bande ka khuda ho jaana


der tak us ne lagae rakha sine se mujhe
jis se sikha hai darakhton ne hara ho jaana
dushman-e-jaan ho agar aise khudaon ka hujum
hum ne sikha nahin raazi-ba-raza ho jaana


aaj sar kat ke jannat nahin mangi tum ne
hai buri baat namazon ka qaza ho jaana
aise mansube ko nakaam karenge hum log
is mein shamil hai agar tera khuda ho jaana


60816 viewsghazalEnglish