jism par baqi ye sar hai kya karun

By kaif-bhopaliNovember 3, 2020
jism par baqi ye sar hai kya karun
dast-e-qatil be-hunar hai kya karun
chahta hun phunk dun is shahr ko
shahr mein in ka bhi ghar hai kya karun


wo to sau sau martaba chahen mujhe
meri chahat mein kasar hai kya karun
panw mein zanjir kante aable
aur phir hukm-e-safar hai kya karun


'kaif' ka dil 'kaif' ka dil hai magar
wo nazar phir wo nazar hai kya karun
'kaif' mein hun ek nurani kitab
padhne wala kam-nazar hai kya karun


79117 viewsghazalEnglish