jism se ruh tak utarti hui
By farooq-noorFebruary 6, 2024
jism se ruh tak utarti hui
ek khushbu thi wo bikharti hui
jaise tufan koi thahra hua
jaise aafat koi guzarti hui
us ki peshani jaise chadhti dhup
zulf us ki thi chhanw karti hui
us ke abru koi ghana jangal
aur palak thi udan bharti hui
us ka chehra tha phul khilta hua
aankh goya thi baat karti hui
zulf us ki siyah shab ki tarah
subh-e-‘ariz pe sham karti hui
us ke dandan motiyon jaise
us ki boli dilon ko harti hui
us ke lab the chhalakte paimane
us ki gardan surahi bharti hui
us ki aawaz ek nadi ki tarah
dil ke virane se guzarti hui
us ka sina kushada ek maidan
us pe chattan wo ubharti hui
us kamar ki lachak ko kya kahiye
jaise hirni koi guzarti hui
aur maghrur morni ki tarah
do qadam chalti aur thaharti hui
us ki aankhon ki yaad hai chitwan
sahmi sahmi hui si darti hui
yun sanwarti thi aaine ke qarib
jaise taqdir ho sanwarti hui
mere kamre mein ab bhi hai maujud
ek taswir baat karti hui
ek khushbu thi wo bikharti hui
jaise tufan koi thahra hua
jaise aafat koi guzarti hui
us ki peshani jaise chadhti dhup
zulf us ki thi chhanw karti hui
us ke abru koi ghana jangal
aur palak thi udan bharti hui
us ka chehra tha phul khilta hua
aankh goya thi baat karti hui
zulf us ki siyah shab ki tarah
subh-e-‘ariz pe sham karti hui
us ke dandan motiyon jaise
us ki boli dilon ko harti hui
us ke lab the chhalakte paimane
us ki gardan surahi bharti hui
us ki aawaz ek nadi ki tarah
dil ke virane se guzarti hui
us ka sina kushada ek maidan
us pe chattan wo ubharti hui
us kamar ki lachak ko kya kahiye
jaise hirni koi guzarti hui
aur maghrur morni ki tarah
do qadam chalti aur thaharti hui
us ki aankhon ki yaad hai chitwan
sahmi sahmi hui si darti hui
yun sanwarti thi aaine ke qarib
jaise taqdir ho sanwarti hui
mere kamre mein ab bhi hai maujud
ek taswir baat karti hui
11002 viewsghazal • English