jita hai sirf tere liye kaun mar ke dekh ek roz meri jaan ye harkat bhi kar ke dekh manzil yahin hai aam ke pedon ki chhanw mein ai shahsawar ghode se niche utar ke dekh tute pade hain kitne ujalon ke ustukhwan saya-numa andhere ke andar utar ke dekh phulon ki tang-damani ka tazkira na kar khushbu ki tarah mauj-e-saba mein bikhar ke dekh tujh par khulenge maut ki sarhad ke raste himmat agar hai us ki gali se guzar ke dekh dariya ki wusaton se use napte nahin tanhai kitni gahri hai ek jam bhar ke dekh