jite-ji ke aashna hain phir kisi ka kaun hai

By aagha-akbarabadiApril 20, 2024
jite-ji ke aashna hain phir kisi ka kaun hai
nam ke apne hua karte hain apna kaun hai
jaan-e-jaan tere siwa rashk-e-masiha kaun hai
mar kar thokar jila de mujh ko aisa kaun hai


ye siyah khema hai kis ka is mein laila kaun hai
chamber-e-aflak ke parde mein baitha kaun hai
hum na kahte the ki sauda zulf ka achchha nahin
dekhiye to ab sar-e-bazar ruswa kaun hai


wo to hai be-nur aur ye nur se ma'mur hai
chashm ko nargis kahega aisa andha kaun hai
dam-ba-dam har baat mein karte ho thandi garmiyan
aap ki ukhdi hui baaton pe jamta kaun hai


wadi-e-wahshat mein bhi ham-rah hain aah-o-fughan
apne hamdam sath hain ai jaan tanha kaun hai
khair hai ai mehrban kis ne unhen sidha kya
aap kyun bal karte hain zulfon se uljha kaun hai


dukhtar-e-raz sach bata teri nazar kis par padi
tattiyon ki aad mein se kis ko taka kaun hai
aaj maqtal mein khade kahte hain wo khanjar-ba-kaf
bol utthe chahne wala hamara kaun hai


chaar din jo kuchh tamasha dekhna hai dekh le
sair ko phir gulshan-e-duniya mein aata kaun hai
bandh kar tegh o kafan jate hain us qatil ke pas
hum bhi dekhen rokne wala hamara kaun hai


kya tajahul hai ki wo farmate hain aghyar se
main nahin pahchanta mutlaq ki 'agha' kaun hai
73229 viewsghazalEnglish