jitna barham waqt tha utne hi khud-sar hum bhi the mauj-e-tufan tha agar pal pal to patthar hum bhi the kash koi ek uchatti si nazar hi dalta chur the zakhmon se lekin ek manzar hum bhi the gar wabaal-e-dosh tha sar hath mein tesha bhi tha ek taraf se to nasibe ke sikandar hum bhi the khud-shanasi ka bhala ho rakh ki chutki hain aaj warna ek rakhshanda-o-tabinda gauhar hum bhi the sath-biin the log kya pate hamari wusaten jhankta dil mein koi to ek samundar hum bhi the chadhte suraj ki parastish go tha duniya ka usul hum kisi ko pujte kaise ki 'khawar' hum bhi the