jitna bhitar se chhaTpaTata hun
By nazar-dwivediFebruary 27, 2024
jitna bhitar se chhatpatata hun
utna bahar se muskuraata hun
mujh ko aksar wahi daraate hain
jin gunahon ko bhul jata hun
mujh ko deta hai hausla koi
jab bhi mushkil mein khud ko pata hun
jab bhi hoti nai ghazal koi
khud se pahle tujhe sunata hun
log ginte hain kirchiyan meri
itne hisse mein tut jata hun
jit leta hun main samundar ko
aur qatre se haar jata hun
utna bahar se muskuraata hun
mujh ko aksar wahi daraate hain
jin gunahon ko bhul jata hun
mujh ko deta hai hausla koi
jab bhi mushkil mein khud ko pata hun
jab bhi hoti nai ghazal koi
khud se pahle tujhe sunata hun
log ginte hain kirchiyan meri
itne hisse mein tut jata hun
jit leta hun main samundar ko
aur qatre se haar jata hun
33537 viewsghazal • English