jitne dariya hain samundar ki taraf khulte hain
By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
jitne dariya hain samundar ki taraf khulte hain
hum bhi dariya hain par andar ki taraf khulte hain
hujra-e-zakhm se bahar ki koi rah nahin
kuchh dariche hain jo andar ki taraf khulte hain
shakh-e-duniya pe bas ek phul hai chehra us ka
dil bhi aksar usi manzar ki taraf khulte hain
sare sahraon pe darwaza hai tanhai meri
sare virane mere ghar ki taraf khulte hain
khun ki dhaar ko ma'lum hai manzil apni
sab gale apne hi khanjar ki taraf khulte hain
sab ki mitti mein hain kuchh raste andar andar
jo kahin dur samundar ki taraf khulte hain

58542 viewsghazal • English