jitne the tere jalwe sab ban gae but-khane ab chashm-e-tamashai kyun kar tujhe pahchane asrar haqiqat ke samjhe nahin farzane taqsir to thi un ki mare gae diwane mastan-e-mohabbat ne duniya mein yahi dekha tute hue paimane tute hue mai-khane phulon ki hansi se bhi dil jin ka nahin khilta un ko bhi hansate hain hanste hue paimane wo haal sunaun kya jo ghair-mukammal hai ab tak ki to main jaanun aage ki khuda jaane jhagda na kabhi uthta tu-tu na kabhi hoti kuchh shaikh hai diwana kuchh rind hain diwane wo mujh pe karam-farma hoga ki nahin hoga ya us ko khuda jaane ya meri qaza jaane hum kahte rahe jab tak rudad mohabbat ki hanste rahe farzane rote rahe diwane samjha tha jinhen apna jab un ki rawish ye hai auron ki shikayat kya begane to begane wahshat to nahin mujh ko ai 'josh' magar phir bhi yaad aate hain rah rah kar chhode hue virane