jiwan mein nuqsan ghaTaya ja sakta hai

By sumaira-khalidFebruary 29, 2024
jiwan mein nuqsan ghataya ja sakta hai
band gali se wapas aaya ja sakta hai
dhyan mein rahti hain do chanchal si aankhen
dhyan ka kya hai dhyan bataya ja sakta hai


tare-ware to sab tod ke late hain
aap kahen to chand bujhaya ja sakta hai
itni der hi dil ko dhaaras rahti hai
jab tak un ke pichhe saya ja sakta hai


tark-e-ta'alluq par jab dil aamada ho
koi bhi ilzam lagaya ja sakta hai
fash karenge raaz ye palkon ke darban
kab tak dil ka haal chhupaya ja sakta hai


jeb main hain kuchh khote be-qimat sikke
'ishq mein kitna dam kamaya ja sakta hai
93240 viewsghazalEnglish