jiye jaane ke KHwab mein zinda

By shehla-naqviJanuary 8, 2021
jiye jaane ke khwab mein zinda
ek musalsal sarab mein zinda
zindagi ke liye taraste log
zindagi ke azab mein zinda


hath aai nahin koi manzil
hain safar ke sarab mein zinda
khwab marte nahin hain zehnon ke
naghma jaise rabab mein zinda


kisht-e-dil lahlahai ashkon ne
rang-e-duniya sahab mein zinda
wo numu-khez kali mitti hai
shakl-e-khushbu gulab mein zinda


roz rahte hain sanehe dar-pesh
hum hain goya habab mein zinda
mir ke rang mein dhale ashaar
dard-o-gham hain kitab mein zinda


65304 viewsghazalEnglish