jo aae wo hisab-e-ab-o-dana karne wale the

jo aae wo hisab-e-ab-o-dana karne wale the
gae wo log jo kar-e-zamana karne wale the

udane ke liye kuchh kam nahin hai khak ghar mein bhi
wo mausam hi nahin hain jo diwana karne wale the

meri gum-gashtagi mere liye chhat ban gai warna
ye duniya wale mujh ko be-thikana karne wale the

na dete sare manzar aks hi thode se de dete
hum aawara kahan tazin-e-khana karne wale the

samundar le gaya hum se wo sari sipiyan wapas
jinhen hum jamma kar ke ek khazana karne wale the

'zafar' be-khanaman apne ko khud hi kar liya tum ne
ye kar-e-khair to ahl-e-zamana karne wale the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close