jo ab bhi na taklif farmaiyega

By January 1, 2017
jo ab bhi na taklif farmaiyega
jo ab bhi na taklif farmaiyega
to bas hath malte hi rah jaiyega
nigahon se chhup kar kahan jaiyega
jahan jaiyega hamein paiyega


mera jab bura haal sun paiyega
khiraman khiraman chale aaiyega
mita kar hamein aap pachhtaiyega
kami koi mahsus farmaiyega


nahin khel naseh junun ki haqiqat
samajh lijiyega to samjhaiyega
hamein bhi ye ab dekhna hai ki hum par
kahan tak tawajjoh na farmaiyega


sitam ishq mein aap aasan na samjhen
tadap jaiyega jo tadpaiyega
ye dil hai ise dil hi bas rahne dije
karam kijiyega to pachhtaiyega


kahin chup rahi hai zaban-e-mohabbat
na farmaiyega to farmaiyega
bhulana hamara mubarak mubarak
magar shart ye hai na yaad aaiyega


hamein bhi na ab chain aaega jab tak
in aankhon mein aansu na bhar laiyega
tera jazba-e-shauq hai be-haqiqat
zara phir to irshad farmaiyega


hamin jab na honge to kya rang-e-mahfil
kise dekh kar aap sharmaiyega
ye mana ki de kar hamein ranj-e-furqat
mudawa-e-furqat na farmaiyega


mohabbat mohabbat hi rahti hai lekin
kahan tak tabiat ko behlaiyega
na hoga hamara hi aaghosh khali
kuchh apna bhi pahlu tahi paiyega


junun ki 'jigar' koi had bhi hai aakhir
kahan tak kisi par sitam dhaiyega
48212 viewsghazalEnglish