jo baat dil mein thi wo kab zaban par aai suna raha hai fasane fareb-e-goyai nae charagh sar-e-rahguzar jala aai hawa-e-nikhat-e-gul thi ki meri binai tu garm raat mein thandi hawa ka jhonka tha zara qarib se guzra to nind si aai jo baat tujh mein hai wo dusron mein kya milti jo baat mujh mein hai tu ne bhi wo kahan pai wo yaad aae to dil aur ho gaya viran wo mil gae to badha aur dard-e-tanhai bahut dinon se mera dil udas bhi to nahin bahut dinon se teri yaad bhi nahin aai 'salim' qurb se bhi tishnagi nahin jati ye baat sahil-o-dariya ne mujh ko samjhai